WhatsApp Mein Timer Kaise Lagate Hain?

 

Urdu Mein WhatsApp Mein Timer Lagane Ka Tareeqa

WhatsApp Mein Timer Lagane Ka Aasan Tareeqa

Agar yeh kaha jaye keh WhatsApp ek bohat hi mashhoor messaging app hai jo is waqt duniya bhar mein istemal ho rahi hai to hargiz galat na ho ga. WhatsApp mein ab kai aisay features bhi shaamil ho chuke hain jin ki wajah se ab communication bohat hi aasan aur mazedar ho chuki hai.

In features mein se ek ahm feature hai Timer lagana. Shayad aap soch rahe hon keh WhatsApp mein timer kis liye lagaya jata hai?

WhatsApp mein timer lagane ka matlab hai keh aap kisi message ko ek khaas waqt ke baad khud bakhud hi delete ho jane ke liye set kar sakte hain.

In messages ko “Disappearing Messages” kaha jata hai. Yeh messages aap ke set kiye hue time ke baad khud bakhud hi WhatsApp chat se delete ho jate hain. Is page par aap WhatsApp mein time lagane aur timer hatane ka tareeqa roman Urdu mein parhein ge.

Sirf Kisi Ek Chat Mein Timer Lagane Ka Tareeqa

Agar aap sirf kisi ek shakhs ke sath chat mein timer lagana chahte hain to is ka tareeqa yeh hai.

Sab se pehle apne mobile mein WhatsApp ko open karein. Phir us chat ko open karein jis mein aap timer lagana chahte hain.

Is ke baad screen ke oper us shakhs ke naam ya profile picture par tap karein. Ab aap ko us shakhs ki profile information nazar aaye gi.

Is ke baad neeche ki taraf scroll karein aur yahan aap ko "Disappearing Messages" ke naam se ek option dikhai de ga. Is par tap karein.

Ab aap ko “Message Timer” ke naam se kuch options nazar ayen ge.

  • 24 Hours
  • 7 Days
  • 90 Days
  • Off

Aap in mein se jis ko bhi select karein ge us time ke baad aap ke messages khud bakhud delete ho jayein ge.

Note: Jab aap koi time select kar lete hain to chat mein ek notification dikhai de ga ke “Disappearing Messages” on ho gaye hain.

WhatsApp Mein Timer Ko Hatane Ka Tareeqa

Agar aap “Off” ke option ko select karte hain to “Message Timer” band ho jaye ga. Yeh timer ko hatane ke liye hota hai.

WhatsApp Ki Group Chat Mein Timer Lagane Ka Tareeqa

WhatsApp group chat mein “Disappearing Messages” ya timer lagane ka tareeqa yeh hai.

Sab se pehle WhatsApp ko open karein aur us group chat ko open karein jis mein aap timer set karna chahte hain.

Is ke baad screen ke oper group ke naam par tap karein. Group ki information aap ke saamne ho gi. Is mein neeche ki taraf scroll karein aur "Disappearing Messages" par tap karein.

Phir se aap ko “Message Timer” ke naam se time ke yeh options nazar ayen ge.

  • 24 Hours
  • 7 Days
  • 90 Days
  • Off

Apni zaroorat ke mutabiq in mein se kisi ek time ko select karein. Aap ki group chat mein timer lag chukka hai.

Note: Kisi ek time ko select karne ke baad group mein ek message chala jata hai keh “Disappearing Messages” on ho gaye hain.

WhatsApp Group Mein Timer Ko Hatane Ka Tareeqa

Agar aap timer ko hatana chahte hain to “Off” ke option ko select karein. “Off” ko select karne se “Disappearing Messages” ka option ya Timer band ho jaye ga.

WhatsApp Group Kaise Banate Hain? | Aasan Tareeqa

Post a Comment

Previous Post Next Post