WhatsApp Ko Kaise Download Karte Hain?

 

WhatsApp Ko Download Karne Ka Tareeqa

WhatsApp Ko Download Karne Ka Tareeqa

Aaj kal WhatsApp ek bohat hi mashhoor app hai. Duniya bhar mein har jagah log is se apne doston aur rishtedaron se raabta karte hain. WhatsApp ek bohat hi simple aur asan app hai.

Agar aap bhi WhatsApp istemal karna chahte hain to yeh page aap ke liye hi hai. Is page par WhatsApp ki app ko download karne ka tareeqa Urdu mein bataya gaya hai. Is ko parhne ke baad aap bilkul aasani ke sath WhatsApp download kar sakein gay.

Android Phone Par WhatsApp Download Karne Ka Tareeqa

Agar aap ke paas Android Phone hai aur aap us par WhatsApp download karna chahte hain to us ka tareeqa yeh hai:

Apne Android phone mein “Google Play Store” ki app ko open karein. Yeh App aap ke phone mein pehle se hi mojood hoti hai. App ko open karne ke baad “Play Store” ke search bar mein "WhatsApp" likhein aur phir search ke button ko dabayein.

Google Play Store

Is ke baad “WhatsApp Messenger” ki app aap ko search ke results mein nazar aaye gi. Is par click karein. Phir "Install" ke button par click karein. Is tarah WhatsApp aap ke phone mein download aur Install hona shuru ho jaye ga.

Jab WhatsApp install ho jaye to "Open" ke button par click karein. Aap ke mobile mein WhatsApp open ho jaye ga.

WhatsApp ke open hone ke baad, agar aap WhatsApp ko istemal karna chahte hain to sab se pehle apna WhatsApp ka account banayein. Yeh zaroori hota hai is ke baghair WhatsApp ko istemal nahin kiya ja sakta.

iPhone (iOS) Par WhatsApp Download Karne Ka Tareeqa

Apne iPhone par WhatsApp ko download karne ke liye sab se pehle apne iPhone mein App Store ko open karein. App Store ko open karne ke baad is ke search bar mein "WhatsApp" type karein aur search karein.

Aap ko “WhatsApp Messenger” app nazar aaye gi. Is par click karein.

Is ke baad "Get" ya "Install" ke button par click karein. Yahan par aap se Apple ID password ka bhi poocha ja sakta hai.

Installation mukammal hone ke baad, "Open" ke button par click karein. Is tarah aap ke phone mein WhatsApp ki app open ho jaye gi. Is ke baad WhatsApp ka account banayein aur phir WhatsApp ko istemal karein.

Computer Mein WhatsApp Download Karne Ka Tareeqa

Agar aap compute mein WhatsApp ko download karna chahte hain to us ka tareeqa yeh hai:

Sab se pehle apne computer ke browser mein "whatsapp.com/download" type karein aur enter ka button dabayen.

WhatsApp ki website open ho gi. Yahan se aap WhatsApp ko download kar sakte hain. Apne computer ke operating system ya Windows ke mutabiq download ke button par click karein. WhatsApp ki App aap ke compute mein download hona shuru ho jaye gi.

Download hone ke baad, file ko open karein aur instructions ko follow karte hue WhatsApp ko install karein.

Note: Compute par WhatsApp ko chalane ke liye is ko phone par WhatsApp ke sath connect karna parta hai.

WhatsApp Ko Compute Par Istemal Karne Ka Tareeqa

Compute par WhatApp ko chalane ke liye sab se pehle computer mein WhatsApp ko open karein. Aap ke compute ki screen par ek QR code aye ga.

Is ke baad apne phone mein WhatsApp ko open karein. Apne phone par WhatsApp ki "Settings" mein jaein. Yahan aap ko "Linked Devices" ka option nazar aaye ga. Is option par click karein aur phir "Link a Device" par click karein.

Aap ke computer ki screen par ek QR code nazar aa raha ho ga, apne phone se is code ko scan karein. Is tarah aap ke computer par WhatsApp open ho jaye ga.

Note:

Aap ke paas internet connection ka hona zaroori hai.

Phone number sehi enter karein.

Post a Comment

Previous Post Next Post