WhatsApp Mein Chats Ko Password Lagane Ke Tareeqe
WhatsApp aaj ke waqt mein hamari zindagi ka ek hissa hai. Is
par aap apni zaati aur karobaari baat-cheet karte hain. Is mein aap ke private
messages, pictures aur videos waghera bhi hoti hain. Aise mein apni WhatsApp chats
ko mehfooz karna aur rakhna bohat zaroori ho jata hai.
WhatsApp khud hi aap ko apni WhatsApp Chats ko lock karne ya
password lagane ka feature deta hai. Is feature ke istemal se aap apni private
conversations ko mehfooz rakh sakte hain. Yahan, aap WhatsApp chats ko password
lagane ya lock karne ka mukammal tareeqa Urdu zuban mein parhein aur seekhein
gay.
WhatsApp Mein Inbuilt Hi “Chat Lock” Ka Feature Mojood Hai
WhatsApp ne haal hi mein "Chat Lock" ke naam se ek
naya feature launch kiya hai. Is feature ki madad se aap apni WhatsApp ki chats
ko password laga sakte hain ya doosre alfaz mein chats ko lock kar sakte hain.
Is feature ko istemal karne ka tareeqa neeche tafseel ke sath diya gaya hai:
WhatsApp Chats Ko Lock Karne Ka Tareeqa
WhatsApp ko open karein aur us chat par jaen jis ko aap lock
karna chahte hain.
Phir us chat ke naam par tap karein ya us chat ko halka sa
daba kar rakhein aur us ko select karein.
Jab wo chat select ho jaye aur us par tick (✓) ka nishan
lag jaye to phir oper right corner mein teen dots (⋮) par tap
karein.
Yahan ek list aap ke saamne open ho gi. Is list mein "Chat
Lock" ke naam se ek option ho ga. Is par tap karein aur is ko open karein.
Jab aap “Chat Lock” par tap karein gay to “Keep this chat
locked and hidden” ke naam se ek option aye ga. Is ke neeche “Continue” ka
option ho ga is par tap karein. Is ke baad aap se aap ke mobile ka mojooda
password manga jaye ga.
Apne mobile ka password enter karein aur phir “Continue” ke
option par tap karein. “Continue” ko tap karne ka baad aap ki WhatsApp chat
lock ho jaye gi.
Ab aap ki yeh Chat locked ho chuki hai aur ab yeh “Locked
Chats” mein hi nazar aye gi. Koi bhi is ko open nahin kar sake ga.
WhatsApp Ki Locked Chats Ko Open Karne Ka Tareeqa
Wo chat, jis ko aap lock kar chuke hon, us ko open karne ke
liye sab se pehle “Locked Chats” ke option par tap karein. Yeh option aam tor
par aap ki WhatsApp chats mein sab se oper hota hai.
Yahan aap se password manga jaye ga. Password enter karte hi
aap ki lock ki hui tamam chats aap ke saamne hon gi.
WhatsApp Ki Locked Chats Ko Unlock Karne Ka Tareeqa
WhatsApp ki wo chats jin ko aap lock kar chuke hon aur ab un
ko unlock karna chahte hon. Is ka tareeqa bohat hi aasan hai.
Sab se pehle apni lock ki hui us chat tak jaein jis ko aap
unlock karna chahte hain. Is ke baad us chat par halka sa tap kar ke us ko
select karein. Jab us chat par tick (✓) ka nishan lag jaye to oper right
corner mein teen dots (⋮) par tap karein.
Yahan ek list aap ke saamne open ho gi. Is list mein “Unlock Chat” ka option bhi ho ga. Is option par tap karein. Yahan aap se password manga jaye ga. Apna password enter karein aur “Continue” par tap karein. “Continue” par tap karte hi aap ki WhatsApp chat unlock ho jaye gi.