WhatsApp Kaise Karte Hain?
Is waqt poori duniya mein WhatsApp ek mashhoor aur aam istemal
hone wali application hai. WhatsApp ek doosre se rabta karne ka aasan aur sasta
zariya hai. WhatsApp ko seekhna aur chalana bohat hi aasan hai.
Agar aap naye hain ya phir aap ko WhatsApp istemal karne ka tareeqa
nahin maloom toh yeh guide aap ke liye hi hai. Yahan par aap Urdu mein tafseel
ke sath seekhein ge keh WhatsApp kaise karte hain.
WhatsApp Karne Ka Tareeqa Kya Hai?
WhatsApp karne ya WhatsApp chalane se pehle do zaroori steps
hote hain.
- WhatsApp Ko Download Aur Install Karna
- WhatsApp Ka Account Banana
Yeh dono steps mukammal karne ke baad aap WhatsApp ko istemal
kar sakte hain ya kisi ko WhatsApp kar sakte hain.
WhatsApp Ki App Ko Download Aur Install Karna
Sab se pehle aap ko apne mobile mein WhatsApp ki app download
aur install karni ho gi. Agar aap ko maloom nahin keh WhatsApp ko download kaise
karte hain to aap pehle WhatsApp ko download karne ka tareeqa parh sakte hain.
WhatsApp Ko Kaise Download Karte Hain?
Jab aap WhatsApp ki app ko download aur install kar lein to
phir is ko open karein.
Apna WhatsApp Ka Account Banana
WhatsApp ki app ko download aur install karne ke baad doosra
step hota hai WhatsApp ka account banana. Is ke baghair aap WhatsApp ko istemal
nahin kar sakte.
WhatsApp ki app ko open karne ke baad aap ko apni kuch details
enter karna hon gi. Sab se pehle apna woh mobile number enter karein jis ko aap
WhatsApp ke liye istemal karna chahte hain.
Aap ke us number par WhatsApp ek SMS ke zariye “Verification Code”
bheje ga. Is code ko WhatsApp ki app mein enter karein. Is ke baad apna naam
aur profile picture (agar aap lagana chahte hain) set karein.
WhatsApp Par Kisi Ko Message Kaise Karte Hain?
Ab aap kisi ko bhi WhatsApp par message kar sakte hain. Is ke
liye screen ke neeche right side par ek message icon ya jama ka nishan (+) ho ga.
Is nishan par tap karein.
Is nishan par tap karne ke baad aap ki phone book mein jo log
WhatsApp istemal karte hain un ki list dikhai de gi. Aap jis ko WhatsApp message
karna chahte hain us par tap karein. Us contact ki chat open ho jaye gi.
Is ke baad screen ke neeche text box mein apna message type
karein. Message likhne ke baad right side par mojood “Send Button” ya Arrow ke
nishan par tap karein. Aap ka WhatsApp ka message send ho jaye ga.
WhatsApp Par Photos Aur Videos Kaise Send Karte Hain?
WhatsApp sirf text messages karne ke liye hi nahin hai. Aap WhatsApp
par photos, videos aur audio messages bhi send kar sakte hain.
Is ka tareeq yeh hai keh jis contact ko aap photos ya videos send
karna chahte hain us ki chat open karein. Text box ke sath ek paperclip (📎) ka nishan ho ga us par tap karein.
Aap ko yeh options milein ge.
- Gallery
- Camera
- Video
- Audio
- Location
- Contact
Us option ko select karein jahan se aap ne photo ya video
send karni hai. Jis photo ya video ko aap ne send karna hai us ko choose kar ke
send kar dein.
WhatsApp Par Audio Message Kaise Karte Hain?
WhatsApp par audio message send karne ke liye sab se pehle ek
audio message record kiya jata hai. Is ke baad record kiye hue “Audio Message”
ko send kar diya jata hai.
WhatsApp mein text box ke paas ek microphone ka nishan hota
hai. WhatsApp mein “Audio Message” record karne ke liye microphone ke nishan (🎤) ko hold
kar keh rakhein aur bolna shuru kar dein.
Jab aap bol chuke hon to microphone ke nishan ke oper se finger
hata dein. App ka “Audio Message” record ho chukka hai. Yeh message khud bakhud
hi send ho jaye ga.
WhatsApp Par Audio Aur Viedo Call Kaise Karte Hain?
WhatsApp se aap internet ke zariye free voice aur video calls
bhi kar sakte hain.
WhatsApp par audio ya video call karne ke liye jis ko aap call
karna chahte hain us ki chat ko open karein.
Screen ke oper right side par voice call karne ke liye phone ka nishan (📞) aur video call karne ke liye camera ka nishan (📷) hota hai. Agar aap audio call karna chahte hain to phone ke nishan par tap karein. Aur agar aap video call karna chahte hain to camera ke nishan par tap karein.
Note: Whatsapp istemal karne ke liye aap ke phone mein internet connection ka hona zaroori hai.