WhatsApp Par Gourps Banane Ka Tareeqa
WhatsApp ab sirf doston aur family se rabta rakhne ka ek zariya
hi nahin raha. Yeh ab mukhtalif maqaasid ke liye groups banane ke liye bhi
istemal hota hai.
Chahe aap ko apne school ke doston ka group banana ho ya
office ke colleagues ke sath kisi project par baat karni ho ya kisi hobby ke
mutaliq logon ko jama karna ho; WhatsApp groups is kaam ko aap ke liye bohat hi
aasan bana dete hain.
Agar aap bhi WhatsApp mein apna ek group banana chahte hain
lekin aap is ka tareeqa nahin jaante to yeh article aap ke liye hi hai. Is page
par aap roman Urdu zuban mein WhatsApp par groups banane ka tareeqa seekhein
gay.
WhatsApp Mein Group Banane Ka Aasan Tareeqa
Sab se pehle apne mobile mein WhatsApp ko open karein.
WhatsApp ko open karne ke baad, screen ke oper right corner mein
ya screen ke neeche right corner mein aap ko ek jama ka nishan (+) nazar aaye
ga. Is nishan par tap karein.
Jama ke nishan par tap karne ke baad aap ko kuch options
nazar ayein ge. In options mein sab se oper “New Group” ke naam se ek option ho
ga. Is par tap karein.
“New Group” par tap karne ke baad aap ki contact list aap ke
saamne open ho jaye gi. Aap jin logon ko apne group mein shaamil karna chahte
hain un ke naam par tap karte jaein.
Aap jis jis naam par tap karte jaein ge wo naam select hota
jaye ga aur aap ko screen ke oper wale hisse mein dikhai bhi deta jaye ga.
Note: Aap jitne logon ko chahein apne WhatsApp group mein
shaamil kar sakte hain.
Jin logon ko aap apne group mein shaamil karna chahte hain un
ke naam select karne ke baad, screen ke neeche right corner mein arrow ka
nishan (→) ya "Next" ka nishan aap ko nazar aaye ga. Is par tap
karein. Ab aap ko apne group ka naam likhna ho ga.
Note: Group ka naam likhna optional hota hai.
Group ka naam likhne ke sath aap ko yahan par profile picture
lagane ka option bhi milta hai. Aap apni gallery se koi picture select kar
sakte hain ya camera se foran koi nayi picture le kar laga sakte hain.
Note: Picture lagane ka option bhi optional hota hai. Agar
aap koi bhi picture nahin lagana chahte to rehne dein.
Group ka naam likhne aur profile picture lagane ke baad,
screen ke neeche right corner mein checkmark ka nishan (✓) ya “Create” ka button aap
ko nazar aaye ga. Is button par tap karein. Is par tap karte hi aap ka WhatsApp
group ban jaye ga.
WhatsApp Group Mein Kya Kuch Share Kiya Ja Sakta Hai?
WhatsApp group banane ke baad aap is mein messages, photos,
videos aur doosri kai files ko share kar sakte hain. Aap group ke “Admins” ko
bhi manage kar sakte hain. Agar zaroorat ho to aap aur logon ko bhi is group
mein invite kar sakte hain.
Kya Aap Group Ki Settings Kar Sakte Hain?
Ji haan aap group ki “Settings” mein ja kar apne group ka naam, profile picture aur doosri kai “Permissions” ko bhi badal sakte hain.