WhatsApp Chats Ka Backup Kaise Lete Hain?
Is waqt WhatsApp sirf aik message ya call karne wali app hi nahin
hai. Yeh hum sab ki zindagi ka aik ahm hissa ban chuka hai. Is mein hamaray
qeemti aur zaroori messages, pictures, videos aur doston aur ghar walon se
rabte ke numbers mehfooz hote hain.
Imagine karein, agar yeh sab kuch aik dam se gum ho jaye to? Is
se bachne ke liye zaroorat hoti hai WhatsApp chats ke backup ki. Is page par, aap
Urdu zuban mein seekhein gay ke aap apne Android aur iPhone devices par apne
WhatsApp chats ka backup kaise le sakte hain. Taa keh aap ki yaadein aur zaroori
messages ya pictures mehfooz rahein.
Android Phone Par WhatsApp Chats Ka Backup Lena
Sab se pehle apne Android phone par WhatsApp application ko
open karein.
Is ke baad screen ke opper right corner mein 3 dots (⋮) hoon gay.
In par tap karen aur phir "Settings" ke option ko select karein.
“Settings” mein "Chats" ke option par tap karein. Yahan
"Chat Backup" par tap karein.
Agar aap ne pehle se select nahin kiya hua, to apna wo Google
account select karein jis par aap WhatsApp ke backup ko save karna chahte hain.
Note: Agar aap ne pehle kabhi bhi WhatsApp ka backup nahin
liya to aap ko apna Google account add karna ho ga.
Aap apni marzi ke mutabiq backup ki frequency choose kar sakte hain. Jaise keh "Daily", "Weekly" ya "Monthly".
Aap "Only When I Tap 'Back up'" ka option bhi
select kar sakte hain. Is option ko select karne se backup sirf tab ho ga jab
aap khud "Back up" ka button dabayein gay.
Agar aap apne WhatsApp ki chats mein mojood videos ko bhi
backup karna chahte hain to "Include Videos" ke option ko “On” karein.
Note: Videos ko include karne se backup ka size barh jata hai.
Yeh sab settings karne ke baad “Back up" ke button par
tap karein. Is tarah aap ke Backup ka process shuru ho jae ga.
iPhone Par WhatsApp Chats Ka Backup Lena
Sab se pehle apne iPhone ke mobile par WhatsApp application ko open karein.
Phir screen ke bottom right corner mein "Settings"
par tap karein. Phir "Chats" ke option par tap karein.
Phir "Chat Backup" par tap karein aur is ke baad "Back
Up Now" par tap karein.
Agar aap ne pehle se “iCloud” mein sign in nahin kiya hua, to
aap ko sign in karne ke liye kaha jae ga.
Agar aap videos ko bhi backup mein shaamil karna chahte hain
to "Include Videos" ke option ko “On” karein.
Agar aap chahein to "Auto Backup" par tap karke
automatic backup frequency set kar sakte hain. Jaise keh "Daily",
"Weekly" ya "Monthly". Lekin yeh optional hai.
Note: Agar aap apna mobile change karte hain to aap apne backup ko apne naye mobile par restore kar sakte hain.