InPage Mein Table Ko Format Karne Ka Tareeqa
InPage mein Tables ko apni marzi ke mutabiq Format kar ke aap
apne documents ko zyada professional aur khoobsorat bana sakte hain. Lekin kya
aap janana chahte hain keh InPage mein Tables ko border lagane ka tareeqa kya hai?
Ya Table mein Cells ke colors ko kaise tabdeel kiya jata hai?
Is page par, aap ko InPage mein table ko format karne, table
mein cells ke colors ko tabdeel karne, table mein text ki alignment karne,
cells ko merge aur un-merge karne ke bare mein tafseel ke sath roman Urdu mein bataya
jaye ga.
InPage Mein Border Lagane Ka Tareeqa
InPage mein Table ko Border lagane ke liye sab se pehle Table
ya wo Cells ya Columns, jin ko aap Border lagana chahte hain, select karein.
Is ke baad Menu bar mein “Format” par click karein. Is
mein “Table Format” ko select karein. “Table
Format” ke naam se ek dialog box aap ke saamne ho ga.
Is mein aap ke paas “Border” ka option ho ga. Is mein sab se pehle aap apni Border Line ka color select karein jis bhi color mein aap Border Line lagana chahte hain.
Us ke baad “Style” ka option aata hai. Is mein aap Border
Line ke liye kisi style ko select kar sakte hain. Agar aap simple border lagana
chahte hain to “None” ko select karein.
Is ke baad “Width” ka option aata hai. Is mein aap Border
Line ki churai (width) ko apni zaroorat ke mutabiq kam ya zyada kar sakte hain.
In options ko zaroorat ke mutabiq select karne ke baad “OK”
par click karein.
Cell Background Color Tabdeel Karne Ka Tareeqa
Table mein Cell ka background color tabdeel karne ke liye sab
se pehle Menu bar mein “Format” par click karein. Is ke baad “Table Format” ko
select karein. “Table Format” ke naam se ek dialog box aap ke saamne zahir ho
ga.
Is mein Color tab mein aap cell ka background color choose kar sakte hain. Apni pasand ka color choose karne ke baad “OK” par click karein.
Table Mein Text Alignment Karne Ka Tareeqa
“Text Alignment” ka matlab hota hai text (alfaz) ki tarteeb ko theek karna.
Table mein text ko right, left ya center mein karne ke liye sab
se pehle Cells ko select karein aur phir “Formatting Toolbar” mein text
alignment ke options ki madad se aap text ko left, right, center, top, middle
ya bottom mein kar sakte hain.
Table Mein Cells Ko Merge Karne Ka Tareeqa
2 ya is se zyada Cells ko jama kar ke ek Cell bana denay ko “Merging
Cells” kaha jata hai.
Table mein Cells ko merge karne ke liye sab se pehle un Cells
ko select karein jin ko aap Merge karna chahte hain.
Phir Menu bar mein “Table Layout” par click karein. “Table Layout” ke naam se ek dilog box aap ke saamne ho ga.
Is mein “Merge Selection”
par click karein.
Table Mein Cells Ko Split Ya Un-Merge Karne Ka Tareeqa
“Splitting Cells” ka matlab hai “Merge” kiye hue Cells ko
dobara elehda elehda karna ya pehle jaisa karna.
Jis Cell ko aap ne split ya un-merge karna hai us ko select karein ya us mein click karein. Phir Menu bar mein “Table Layout” par click karein. Aap ke saamne “Table Layout” ke naam se ek dilog box zahir ho ga.
Is mein “Split Selection” par click karein.