InPage Mein Table Kaise Banate Hain?
Wo log, jo Urdu zuban mein kaam karte hain, InPage un logon
ke liye aik ahm software hai. InPage ki madad se documents mein Table ko banana
aur data ko behtar tareeqe se numayan karna mumkin hai.
Is page par aap ko InPage mein Table ko banane, Table mein likhne aur Table mein “Row” aur “Column” ko Insert aur Delete karne ke mutaliq sikhaya jaye ga.
InPage Mein Table Banane Ka Tareeqa
Sab se pehle Menu bar mein “Insert” par click karein. Phir “Table”
ke option ko select karein.
“Insert Table” ke naam se ek dialog box appear ho ga. Is mein aap ke paas 3 options hoon ge, “Rows”, “Columns” aur “Column Width”. Aap ko table ke liye jitni Rows aur jitne Columns chahiyein woh number is mein enter karein. “Column Width” ka option column ki churai (width) ko set karne ke liye hota hai.
Is ke baad “OK” par click karein. Table aap ke document mein insert ho jaye ga.
InPage Ke Table Mein Likhne Ka Tareeqa
InPage ke table mein likhne ke liye ya kuch type karne ke
liye Table ke kisi bhi Cell mein click karein. Phir is mein likhna ya type
karna shuru karein. Is tarah aap InPage ke table mein likh saken ge.
InPage Ke Table Mein Ek Cell Se Doosre Cell Mein Jana
InPage ke Table mein ek Cell se doosre Cell mein move karne
ke liye “Tab Key” ka istemal karen. Agar aap Right se Left ko ja rahe hain. Aur
agar aap Left se Right ki taraf ja rahe hain to “Shift + Tab key” ka istemal
karen. Is kaam ke liye aap arrow keys bhi istemal kar sakte hain.
InPage Ke Table Mein Rows Aur Columns Ko Adjust Karna
Row Ki Height Ko Tabdeel Karne Ka Tareeqa
Row ki height ko tabdeel karne ke liye Row ki nichli line par
mouse pointer le jaein. Jab pointer do-tara teer ya double-headed arrow mein
badal jaye to click karein aur kheench (drag) kar row ki height ko adjust
karein.
Column Ki Width Badalne Ka Tareeqa
Column ki width ko tabdeel karne ke liye Column ki left ya right
line par mouse pointer le jaein. Jab pointer do-tara teer mein badal jaye to
click karein aur kheench (drag) kar width ko adjust karein.
Table Mein Rows Aur Columns Ko Insert Ya Delete Karna
Table Mein Row Insert Karne Ka Tareeqa
Table ki jis row ke opar ya neechay aap nayi row ko Insert
karna chahte hain us row mein kahin bhi click karein.
Menu bar mein “Format” par click karein aur “Table Layout” ke
option ko select karein. "Table Layout" ke naam se ek dialog box zahir ho ga.
Is mein pehle “Row” ke option ko select karein. Us ke baad
agar aap ne select ki hui row ke oper ek “Row” insert karni hai to “Before” ko
select karein aur agar aap ne select ki hui row ke neechy ek “Row” insert karni
hai to “After” ke option ko select karein.
Note: Yeh option “Insert Row Above” ya “Insert Row Below” ki
shakal mein bhi ho sakta hai.
Table Mein Column Ko Insert Karna
Table ke jis column ke right ya left mein aap naya column
insert karna chahte hain, us column mein kahin bhi click karein.
Menu bar mein “Format” par click karein aur “Table Layout” ke
option ko select karein.
Is mein pehle “Column” ke option ko select karein. Us ke baad
agar aap ne select kiye hue column ke right mein ek “Column” insert karna hai
to “Before” ko select karein aur agar aap ne select kiye hue column ke left
mein ek “Column” insert karna hai to “After” ke option ko select karein.
Note: Yeh option “Insert Column Left” ya “Insert Column Right”
bhi ho sakta hai.
Table Mein Row Ko Delete Karne Ka Tareeqa
InPage mein table ki jis row ko delete karna ho to us row ko
select karein ya us mein kahin bhi click karein.
Menu bar mein “Format” ko click karein aur “Table Layout” ke option ko select karein.
Is mein pehle “Row” ke option ko select karein aur us
ke baad “Delete” par click karein. Is tarah aap ki select ki hui “Row” delete
ho jaye gi.
Note: Yeh option “Delete Row” ki shakal mein bhi ho sakta hai.
Table Mein Column Ko Delete Karne Ka Tareeqa
Table mein jis column ko delete karna ho us column ko select
karein ya us column mein kahin bhi click karein.
Menu bar mein “Format” par click karein aur “Table Layout” ke
option ko select karein.
Is mein pehle “Column” ke option ko select karein aur phir “Delete”
par click karein. Is tarah aap ka select kiya hua column delete ho jaye ga.
Note: Yeh option kuch InPage softwares mein “Delete Column” ki shakal mein bhi ho sakta hai.