InPage Mein Shortcut Keys Konsi Hain?

 

InPage Ki Shortcut Keys Konsi Hain in Urdu

InPage Ki Sab Shortcut Keys Urdu Mein

Agar aap InPage mein tezi aur asaani ke sath kaam karna chahte hain to is ke liye Keyboard Shortcuts ya InPage Shorcut Keys bohat madadgaar sabit ho sakti hain.

Yahan, InPage mein istemal hone wali kuch ahm Shorcut Keys ko tafseel ke sath diya gaya hai. InPage ki in Shortcut Keys ko istemal karne se aap apni Urdu ki typing speed ko behtar kar sakte hain.

InPage Ki General Shortcuts

Ctrl + N

InPage mein naya document banane ke liye.

Ctrl + O

InPage mein mojooda document ko open karne ke liye.

Ctrl + S

InPage mein document ko save karne ke liye.

Ctrl + Shift + S

InPage mein mojooda document ko kisi aur naam se save karne ke liye.

Ctrl + P

InPage mein document ke Print ke liye.

Ctrl + Q

InPage se bahir nikalne ke liye.

Ctrl + Z

InPage mein pichle kaam ko Undo karne ke liye.

Ctrl + Y

Undo kiye hue amal ko Redo karne ke liye.

Ctrl + X

InPage mein select kiye hue text ya object ko cut karne ke liye.

Ctrl + C

InPage mein select kiye hue text ya object ko copy karne ke liye.

Ctrl + V

InPage mein cut ya copy kiye hue text ya object ko paste karne ke liye.

Ctrl + F

Agar InPage mein text ya object ko document mein find karna ho to yeh shortcut hai.

Ctrl + H

InPage mein text ya object ko find aur replace karne ke liye.

Ctrl + A

InPage mein poore document ya text frame ko select karne ke liye yeh shortcut hai.

InPage Mein Text Formatting Shortcuts

Ctrl + B

Select kiye hue text ko bold karne ke liye yeh short key hai.

Ctrl + I

Select kiye hue text ko italic karne ke liye yeh short key hai.

Ctrl + U

InPage mein select kiye hue text ko underline karne ke liye.

Ctrl + [

InPage mein select kiye hue text ka font size kam karne ke liye yeh short key hai.

Ctrl + ]

InPage mein select kiye hue text ka font size zyada karne ke liye yeh short key hai.

Ctrl + Shift + L

InPage mein Paragraph ko left align karne ke liye yeh short key hai.

Ctrl + Shift + R

InPage mein Paragraph ko right align karne ke liye yeh short cut hai.

Ctrl + Shift + C

InPage mein Paragraph ko center align karne ke liye.

Ctrl + Shift + J

InPage mein Paragraph ko justify karne ke liye yeh shortcut key hai.

InPage Object Manipulation Shortcuts

Shift + Click and Drag

Agar InPage mein kisi object ko seedhi line mein move karna ho to yeh short cut hai. (horizontally ya vertically)

Ctrl + Click and Drag

Agar InPage mein kisi object ki copy banana aur usay move karna ho to yeh short key hai.

Delete

InPage mein select kiye hue object ko delete karne ke liye.

InPage Mein Navigation Shortcuts

Page Up

Pichle page par jane ke liye yeh short key hai.

Page Down

InPage mein agle page par jane ke liye yeh short key hai.

Ctrl + Home

InPage mein document ke shuru mein jane ke liye yeh short cut hai.

Ctrl + End

InPage mein document ke aakhir mein jane ke liye yeh short cut hai.

InPage View Shortcuts

Ctrl + + (Plus)

InPage mein Zoom In karne ke liye yeh short key hai.

Ctrl + - (Minus)

InPage mein Zoom Out karne ke liye yeh short key hai.

Ctrl + 0 (Zero)

InPage mein view ko actual size mein karne ke liye yeh short key hai. 

Important Note: Inpage ke mukhtalif versions mein kuch shortcuts mein thora bohat farq ho sakta hai.

InPage Mein Page Layout Tabdeel Karne Ka Tareeqa

Post a Comment

Previous Post Next Post