InPage Mein Page Layout Kaise Badalein?
Kya aap InPage mein kaam karte hue apne document ki Page Layout
ko badalna chahte hain? Agar haan, toh yeh guide aap ke liye hi hai!
Is article mein aap ko step-by-step bataya jaye ga keh aap
Inpage mein Page Layout ko kaise badal sakte hain. Chaahe aap naya document
shuru kar rahe hon ya kisi file par kaam kar rahe hon, hum aap ko Inpage mein
Page Layout tabdeel karne ka tareeqa tafseel se samjhayen ge.
1. Naya Document Banate Waqt Layout Ka Option
Jab aap Inpage mein ek naya document bana rahe hote hain
(File > New), toh us waqt aap ke paas page ki setting select karne ka option
aata hai.
Is window mein, aap page ka size, orientation aur margins set
kar sakte hain. Agar aap ko ek mukhtalif layout chahiye, toh yehin par aap apni
zaroorat ke mutabiq page ki settings kar sakte hain.
2. Mojooda Document Mein Page Layout Tabdeel Karna
Agar aap kisi mojooda document mein Page Layout badalna chahte hain ya doosre alfaz mein agar aap kisi page par kaam kar rahe hain aur aap us page ki mojooda Layout ko tabdeel karna chahte hain to is ke liye in steps par amal karein.
Page Size aur Orientation Ko Tabdeel Karne Ke Liye
Menu bar mein “Format” par click karein. Dropdown menu se “Page
Setup” ya “Document Setup” select karein. InPage ke version ke hisaab se naam
mukhtalif ho sakta hai.
Is ko click karne par ek nayi window khule gi jahan aap page
ka size aur orientation (Portrait ya Landscape) tabdeel kar sakte hain. Apni
pasand ki settings karne ke baad “OK” par click karein.
Margins Badalne Ke Liye
Menu bar mein “Format” par click karein. Dropdown menu se
“Page Setup” ya “Document Setup” select karein. Ek nayi window khule gi jahan
aap Top, Bottom, Left aur Right margins ki values enter kar sakte hain.
Apni zaroorat ke mutabiq margins set karne ke baad “OK” par click karein.