InPage Mein Image Ya Tasveer Lagane Ka Tareeqa
Kya aap jaante hain keh InPage ke documents mein picture
kaise lagate hain?
InPage ke documents mein picture lagana bohat hi asan hai. InPage
ke documents mein picture laga kar aap apne documents ko aur bhi dilchasp bana
sakte hain. Is page par aap ko InPage ke documents mein picture ya tasveer
lagane ka asan tareeqa sikhaya jaye ga.
Picture Box Banana
InPage mein picture lagane ke liye picture box banana parta
hai. Is ke liye sab se pehle InPage ko open karein. Is ke baad screen ke left
side dekhen, wahan par tools ka ek box ho ga. Is ko "Toolbox" kehte
hain.
Toolbox mein ek rectangle ya frame ki tarah ka tool hota hai. Is ko "Picture Box Tool" kehte hain.
Picture Box Banane Ka Tareeqa
Picture box ko banana bohat hi asan hai. Apne InPage ke document
mein jahan par aap picture ya tasveer ko lagana chahte hain, wahan par mouse se
click karein aur drag karein. Is se ek box ban jaye ga. Ye picture box hai.
Tasveer Ko Import Karna
“Picture Box” ke ban jaane ke baad, oper menu mein
"Insert" par click karein. Ek list aap ke saamne open ho gi, is mein
se "Picture" par click karein.
“Picture” par click karne se ek ek nayi window open ho gi. Is
ke madad se aap apne computer se picture ko select kar sakte hain. Apni picture
ko dhoonden aur us par click karein. Is ke baad "Open" par click
karein. Tasveer “Picture Box” mein aa jaye gi.
Picture Ko Adjust Karna
Agar picture “Picture Box” mein sehi se fit nahin ho rahi ho to box ke corners se drag kar ke is ka size adjust karein. Picture ko move karne ke liye “Toolbox” se arrow wala tool istemal karein. Agar picture ke kisi hisse ko kaatna ho to InPage mein “Cropping” karne ke tools bhi hote hain.