InPage Mein Files Ko Import Aur Export Karne Ka Tareeqa
Urdu mein kaam karne ya likhne walon ke liye InPage aik bohat
hi mufeed software hai. Is mein kaam kartay hue aap ko aksar files ko Import karne
ya Export karne ki zaroorat par sakti hai.
Aaj aap InPage mein files ko Import aur Export karne ke bare
mein tafseel ke sath parhne ja rahe hain. Is page par aap parhein gay keh
InPage mein files ko Import aur Export kaise kiya jata hai.
InPage Mein Files Ko Import Kaise Karte Hain?
InPage mukhtalif iqsaam ki Text-Based Files ko import karne
ki salahiyat rakhta hai. Yaani, agar aap ne kisi doosre text editor ya software
mein kuch likha hua hai to aap usay asani ke sath InPage mein laa sakte hain.
InPage Mein Files Ko Import Karne Ka Tareeqa
InPage ki screen ke ooper walay hisse mein aap ko
"File" ka menu nazar aaye ga. Is par click karen. "File"
menu mein aap ko "Import" ka option milay ga. Is par click karen.
“Import File Name” ke naam se ek nayi window open ho gi. Is window ki madad se aap apni us file ki location par jaen jisay aap InPage mein Import karna chahte hain.
Jab aap us file tak pohanch jaen to us par click kar ke usay
select karein. File ko select karne ke baad window mein "Open" ke button
par click karein. Is tarah aap ki file import ho jaye gi.
InPage Mein Files Ko Export Kaise Karte Hain?
InPage mein apna kaam mukammal karne ke baad aap ko usay
doosron ke sath share karne ya kisi aur maqsad ke liye Export karne ki zaroorat
par sakti hai. InPage software mukhtalif formats mein files ko Export karne ki
sahoolat faraham karta hai.
InPage Mein Files Ko Export Karne Ka Tareeqa
InPage mein screen ke ooper walay hisse mein "File"
menu par click karen. Is mein "Export Page" Ya "Save As" ko select karein.
Export Page
Agar aap sirf mojooda page ya kuch khaas pages ko image
(tasveer) ki soorat mein export karna chahte hain to is option ko select karein.
Save As
Agar aap apni poori InPage file ko kisi aur format mein save
karna chahte hain to phir is option ko select karein.
"Export Page" Ka Option Istemal Karne Ka Tareeqa
"Export Page" ko select karne ke baad “Export As
Picture” ke naam se ek window open ho gi.
Is mein aap yeh bata sakte hain ke aap kon se pages ko export
karna chahte hain. Misaal ke tor par, sirf current page ya pages 1 se 5 tak. Is
window mein zaroori settings karne ke baad "Browse" par click karein.
Ek nayi window “Export As a Pictue” ke naam se aap ke saamne ho gi.
Is mein aap woh jagah ya folder select karein jahan aap file ko
save karna chahte hain. Apni file ka naam likhen. "Save as Type" ke
dropdown menu se apni pasand ke image format ko select karein.
Is ke baad “Save” par click karein.
"Save As" Ka Option Istemal Karne Ka Tareeqa
"Save As" ko select karne ke baad “Save Document
As” ke naam se aik nayi window open ho gi.
Is mein sab se pehle “File Name” ki jagah par file ka ek naam
likhen. Is ke baad "Save as Type" ke dropdown menu se woh format select
karein jis mein aap apni file ko save karna chahte hain.
Phir us jagah ya folder ko select karein jahan aap file ko save
karna chahte hain.
Is ke baad "Save" Par Click Karein.