InPage File Ko PDF Mein Kaise Convert Karte Hain?

 

InPage File Ko PDF Mein Kaise Convert Karte Hain

InPage File Ko PDF Mein Convert Karne Ke Tareeqe

Agar aap InPage ko istemal karte hain aur apni files ko PDF format mein convert karna chahte hain toh yeh page aap ke liye hi hai. Is page par InPage files ko PDF mein convert karne ke asan tareeqe Urdu mein sikhaye jayen gay.

PDF ek aam aur bohat hi maqbool format hai. PDF file ko kisi bhi device par asani ke sath open kiya ja sakta hai aur is ki formatting bhi barqarar rehti hai. InPage files (.inp) ko PDF mein convert karne ke kai tareeqay hain.

InPage Software Ko Istemal Karte Hue

Agar aap ke computer mein InPage software install hai. Toh yeh sab se asan aur seedha tareeqa hai.

Sab se pehle apni InPage file ko software mein open karein. Is ke baad “File” menu par click karein aur phir "Print" ke option ko select karein. Is ke liye aap “Ctrl + P” bhi istemal kar sakte hain.

InPage Software Ko Istemal Karte Hue

“Print” ke naam se ek dialogue box aap ke saamne ho ga. Is mein, "Printer" ke section mein "Name" ke drop-down menu se "Microsoft Print to PDF" ke option ko select karein. Yeh option sirf kuch Windows ke versions mein mojood hota hai.

Agar aap printing ki settings mein koi aur tabdeeli bhi karna chahte hain toh woh bhi yahan kar sakte hain.

Yeh sab karne ke baad "OK" ya "Print" par click karein.

Ek nayi window open ho gi. Yahan aap se poocha jaye ga keh aap file ko kahan save karna chahte hain aur file ko kya naam dena chahte hain. Apni pasand ki jagah ya folder aur naam enter karne ke baad "Save" par click karein. Aap ki InPage ki file ab PDF format mein save ho chuki hai.

"Microsoft XPS Document Writer" Ka Tareeqa

Agar aap ke paas "Microsoft Print to PDF" ka option mojood nahin hai toh aap yeh doosra tareeqa istemal kar sakte hain.

Apni InPage file ko open karein. Is ke baad InPage software mein “File” manu par click karein aur "Print" ke option ko select karein. “Print” ke naam se ek dialogue box zahir ho ga.

Microsoft XPS Document Writer Ka Tareeqa

Is mein "Printer" ke menu mein "Microsoft XPS Document Writer" ke option ko select karein. Is ke baad"OK" par click karein aur file ko kisi bhi naam se “.xps” format mein save kar lein.

Ab aap ko is “.XPS” file ko PDF mein convert karne ke liye ek online converter ki zaroorat ho gi. Is ke liye aap internet par "XPS to PDF Converter" search kar sakte hain. Kai websites yeh service free mein faraham karti hain.

In websites mein se kisi ek par jaein aur apni “XPS” file ko upload karein. Website par di gayi instructions ke mutabiq file ko convert karne ke process ko start karein. File ke convert hone ke baad aap apni PDF file ko download kar sakte hain.

Online InPage to PDF Converters Istemal Karte Hue

Kuch online tools aisay bhi hain jo directly InPage (.inp) files ko PDF mein convert karne ki sahoolat faraham karte hain. Is ke liye aap internet par "InPage to PDF Converter" search kar sakte hain.

Wo websites jo InPage files ko PDF mein convert karti hain un mein se kisi ek website par jaein. Wahan par "Upload File" ya is tarah ka koi button dhoondhein aur apni “.inp” file ko select kar ke upload karein. File ko upload karne ke baad "Convert" ke button par click karein. Is tarah aap ki InPage ki file PDF mein convert ho jaye gi.

InPage Mein Files Ko Import Aur Export Kaise Karte Hain?

Post a Comment

Previous Post Next Post