Facebook Ki ID Banane Ka Aasan Tareeqa
In dinon Facebook ek aam si cheez ban chuki hai. Is waqt
shayad hi koi aisa ho jo Facebook ke naam se waaqif na ho. Facebook is waqt
istemal ki jaane wali chand bari Apps mein se ek hai.
Agar aap bhi Facebook ki is duniya ka hissa banana chahte
hain aur apni Facebook ID banana chahte hain to yeh bohat hi aasan kaam hai.
Is page par neeche Facebook ID banane ka mukammal tareeqa
tafseel ke sath Urdu mein diya gaya hai. Is ko parhne ke baad aap bilkul aasani
ke sath apni Facebook ID bana sakein ge.
Facebook Ki ID Banane Ke Liye Zaroori Steps
Facebook ki ID banane ke liye neeche diye gaye zaroori steps
par amal karein.
Facebook Ki Application
Sab se pehle apne computer ya mobile phone par internet
browser open karein aur is mein “www.facebook.com” type karein.
Agar aap mobile mein Facebook ki app istemal karna chahte
hain to “Google Play Store” se Facebook ki app ko download aur install karein.
Note: Agar aap ke paas iPhone hai to “Google Play Store” ki
jagah “App Store” ho ga.
Create New Account
Facebook ki website ya app open karne ke baad aap ko ek
button nazar aaye ga. Is par "Create New Account" likha ho ga. Is
button par click karein.
Form Ko Fill Karna
“Create New Account” par tap ya click karne ke baad aap ko ek form nazar aaye ga. Is form mein aap ko kuch zaroori maloomat darj karni hoti hai.
Jaise keh:
- First Name
Apna pehla naam likhein.
- Surname
Apna aakhri naam likhein.
- Date of Birth
Apni sehi tareekh paidaish likhein.
- Gender
Agar aap mard hain to “Male” ke option par tick karein aur
agar aap aourat hain to “Female” ke option par tick karein.
- Mobile Number Ya Email Address
Is jagah par woh mobile number ya wo email address likhein jis
ko aap Facebook ki ID ke liye istemal karna chahte hain.
- Password
Ek mazboot aur aasan password likhein jo aap ko yaad rahe. Is
mein numbers, letters aur symbols ka istemal bhi karein.
"Sign Up" Ya "Register"
Jab aap tamam zaroori maloomat is form mein likh chuke hon to
form ke neeche mojood "Sign Up" ya "Register" ke button par
click karein.
Facebook Account Verify Karna
Facebook ki taraf se aap ke diye hue mobile number ya email
address par ek “Verification Code” send kiya jata hai. Is code ko diye gaye box
mein likhein. Yeh code likhne ke baad aap ka Facebook account verify ho jaye ga.
Note: Agar aap ne email address diya hai to aap ko Facebook
ki taraf se bheji gayi email mein ek link diya gaya ho ga. Aap ko is par click
karna ho ga.
Facebook Profile
Facebook ka account verify hone ke baad aap apni Facebook profile
ko mukammal kar sakte hain. Is mein aap apni picture laga sakte hain. Apni
taleem aur kaam ke bare mein maloomat de sakte hain.
Note: Yeh step optional hai. Aap in steps ko baad mein bhi mukammal kar sakte hain.