Music

Makhi Ke Mutaliq Dilchasp Maloomat

 

Makhi Ke Mutaliq Dilchasp Maloomat


Makhi Ke Mutaliq Dilchasp Maloomat Urdu Mein

House flies (Makhian) are very common insects that can cause many problems for humans. It is important to know about these insects to avoid them. This page contains interesting facts about house flies in Urdu. Here, you will read makhi ke mutaliq dilchasp aur hairat angez maloomat. Increase general knowledge about house flies in Urdu!

Is page par aap makhi ke mutaliq maloomati sawal jawab Urdu mein parhein gay. Yeh makhi ke mutaliq maloomat e aama hai in Urdu language. Makhi (House Fly) ke mutaliq yeh ajeeb o ghareeb maloomat aap ke General Knowledge mein izafa kare gi.


1. Makhi (House Fly) ko kisi cheez ka zaiqa (Taste) kese pata chalta hai?

Makhian apne pairon (Feet) se zaiqa mehsoos karti hain.


مکھیاں اپنے پیروں سے زائقہ محسوس کرتی ہیں۔


2. Aik makhi kitnay anday (Eggs) deti hai?

Aik wahid makhi apni zindagi mein taqreeban 500 anday (Eggs) de sakti hai.


ایک واحد مکھی اپنی زندگی میں تقریباً 500 انڈے دے سکتی ہے۔


3. Kya makhi chaba (Chew) kar khati hai?

Makhi kisi bhi cheez ko chaba kar nahin kha sakti.


مکھی کسی بھی چیز کو چبا کر نہیں کھا سکتی۔


4. Makhian kesi khorak (Diet) par zinda rehti hain?

Makhian sirf maia (Liquid) khorak par zinda rehti hain.


مکھیاں صرف مائع خوراک پر زندہ رہتی ہیں۔


5. Makhian thos (Solid) khanay ko maia (Liquid) mein kese tabdeel karti hain?

Makhian aise Enzymes ko thook ke zariye kharij karti hain jo thos khanay ko maia mein tabdeel kar dete hain.


مکھیاں ایسے انزائمز کو تھوک کے زریعے خارج کرتی ہیں جو ٹھوس کھانے کو مائع میں تبدیل کر دیتے ہیں۔


6. Aik makhi ki zindagi kitnay din hoti hai?

Aik makhi aam tor par 15 se 25 din tak zinda rehti hai, lekin yeh 2 maah tak bhi zinda reh sakti hai.


ایک مکھی عام طور پر 15 سے 25 دن تک زندہ رہتی ہے لیکن یہ 2 ماہ تک بھی زندہ رہ سکتی ہے۔


7. Makhian kis raftaar se parwaaz (Fly) kar sakti hain?

Makhian ostan 8 kilometer fi ghanta ki raftaar se parwaaz karne ki salahiyat rakhti hain.


مکھیاں اوسطاً 8 کلومیٹر فی گھنٹہ کی رفتار سے پرواز کرنے کی صلاحیت رکھتی ہیں۔


8. Makhian khana kese talash karti hain?

Makhian khana talash karne ke liye apni songhne ki his par inhisaar karti hain.


مکھیاں کھانا تلاش کرنے کے لیے اپنی سونگھنے کی حس پر انحصار کرتی ہیں۔


9. Kya makhian aaram (Rest) karti hain?

Makhian aksar dewaron aur chhaton par aaram karti hain.


مکھیاں اکثر دیواروں اور چھتوں پر آرام کرتی ہیں۔


10. Makhian zyada tar kesa khana pasand karti hain?

Makhian aksar ganday khanay, fuzlay aur murda janwaron se khana khati hain.


مکھیاں اکثر گندے کھانے، فضلے اور مردہ جانوروں سے کھانا کھاتی ہیں۔


Bhediyon Ke Mutaliq 10 Dilchasp Sawal Jawab

Post a Comment

0 Comments