Music

Chheenk Ke Mutaliq Dilchasp Maloomat Urdu Mein

 

Chheenk Ke Mutaliq Dilchasp Maloomat Urdu Mein


Chheenk Ke Mutaliq Hairat Angez Maloomat

On this page, you will read interesting facts about sneezing in Urdu. Here, you will read chheenk ke mutaliq dilchasp aur hairat angez maloomat. Read general knowledge in Urdu with answers!

Is page par aap chheenk ke mutaliq maloomati sawal jawab Urdu mein parhein gay. Yeh chheenk ke mutaliq maloomat e aama hai in Urdu language. Chheenk (Sneeze) ke mutaliq yeh ajeeb o ghareeb maloomat aap ke General Knowledge mein izafa kare gi.


1. Aik insan ko aik din mein kitni dafa chheenk (Sneeze) aati hai?

Tehqeeq ke mutabiq, aik insan ko aik din mein ostan (Average) 4 dafa chheenk aati hai.


تحقیق کے مطابق، ایک انسان کو ایک دن میں اوسطا 4 دفعہ چھینک آتی ہے۔


2. Kya sotay hoye ya neend mein bhi chheenk aa sakti hai?

Sotay hoye ya neend mein chheenk aana namumkin (Impossible) hai.


سوتے ہوئے یا نیند میں چھینک آنا ناممکن ہے۔


3. Chheenk ki raftaar (Speed) kitni hoti hai?

Aik chheenk 100 meel (Miles) fi ghanta ki raftaar se safar kar sakti hai.


ایک چھیک 100 میل فی گھنٹہ کی رفتار سے سفر کر سکتی ہے۔


4. Aik chheenk pani ke kitnay qatray (Droplets) paida kar sakti hai?

Aik chheenk 40,000 tak pani ke chhote chhote qatray paida kar sakti hai.


ایک چھینک 40,000 تک پانی کے چھوٹے چھوٹے قطرے پیدا کرسکتی ہے۔


5. Yeh pani ke chhote chhote qatray (Droplets) kitni door tak ja saktay hain?

Pani ke yeh chhote chhote qatray 5 feet tak ja sakte hain.


پانی کے یہ چھوٹے چھوٹے قطرے 5 فٹ تک جاسکتے ہیں۔


6. Chheenk ka dil ki dharkan par kya asar hota hai?

Jab aap chheenk rahay hotay hain to us waqt aap ke dil ki dharkan ahista ho jati hai.


جب آپ چھینک رہے ہوتے ہیں تو آس وقت آپ کے دل کی دھڑکن آہستہ ہو جاتی ہے۔


7. Chheenk aana kis baat ki aam alamat hoti hai?

Chheenk aana Allergy ki aam alamat hai.


چھینک آنا الرجی کی عام علامت ہے۔


8. Chheenk ka aana kisi bemari ki bhi alamat hai?

Chheenk ka aana aam sardi aur kai saans ki bemarion ki bhi alamat hai.


چھینک کا آنا عام سردی اور کئی سانس کی بیماریوں کی بھی علامت ہے۔


Post a Comment

0 Comments