Billi Ke Mutaliq Dilchasp Maloomat
This page contains interesting facts about cats in Urdu.
Here, you will read billi ke mutaliq dilchasp aur hairat angez maloomat in
Urdu. Increase general knowledge about cats in Urdu!
Is page par aap billiyon (Cats) ke mutaliq maloomati sawal
jawab Urdu mein parhein gay. Yeh billiyon ke mutaliq maloomat e aama hai in
Urdu language. Billi (Cat) ke mutaliq yeh ajeeb o ghareeb maloomat aap ke
General Knowledge mein izafa kare gi.
1. Billi aik din mein kitna soti hai?
Billi aik din mein 16 ghante tak so sakti hai.
بلی ایک دن میں
16 گھنٹے تک سو سکتی
ہے۔
2. Kya billi pani se darti hai?
Zyada tar
billian pani se darti hain.
زیادہ تر بلیاں
پانی سے ڈرتی ہیں۔
3. Billi apnay sar ko kitna ghuma sakti hai?
Aik billi apnay
sar ko 180 degree tak ghuma sakti hai.
ایک بلی اپنے سر کو 180 ڈگری تک گھما سکتی ہے۔
4. Kya billian khelna pasand karti hain?
Billian
khelna pasand karti hain, khaas tor par khilonon (Toys) ke saath.
بلیاں کھیلنا پسند
کرتی ہیں خاص طور پر کھلونوں کے ساتھ۔
5. Billi ki kitni haddiyan hoti hain?
Billiyon ki
230 haddiyan hoti hain, jabke insanon ki sirf 206 haddiyan hoti hain.
بلیوں کی 230 ہڈیاں
ہوتی ہیں، جبکہ انسانوں کی صرف 206 ہڈیاں ہوتی ہیں۔
6. Billian apni zindagi ka kitna hissa so kar guzaarti hain?
Aik billi apni
zindagi ka 70% so kar guzaarti hai.
ایک بلی اپنی زندگی کا 70 فیصد سو کر گزارتی ہے۔
7. Billi kis raftaar se dorh (Run) sakti hai?
Billi 30 meel
fi ghanta tak ki raftaar se dorh sakti hai.
بلی 30 میل فی گھنٹہ تک کی رفتار سے دوڑ سکتی ہے۔
8. Billiyon ke songhne ki hiss kitni mazboot hoti hai?
Billiyon ke
songhne ki hiss insanon ke muqable mein 14 guna tak zyada mazboot hoti hai.
بلیوں کے سونگھنے
کی حس انسانوں کے مقابلے میں 14 گُنا تک زیادہ مضبوط ہوتی ہے۔
9. Billi kitni onchi chhalaang (Jump) laga sakti hai?
Billi apni onchai se kai guna zyada chhalaang laga sakti
hai.
بلی اپنی اونچائی سے
کئ گُنا زیادہ چھلانگ
لگا سکتی ہے۔
10. Kya billi pani mein tair (Swim) sakti hai?
Kuch billian pani
mein tair (Swim) sakti hain.
0 Comments