Bhediyon Ke Mutaliq Dilchasp Maloomat
This page contains interesting facts about wolves in Urdu.
Here, you will read bhediyon ke mutaliq dilchasp aur hairat angez maloomat.
Read general knowledge about wolves in Urdu with answers!
Is page par aap bhediyon ke mutaliq 10 dilchasp maloomati
sawal jawab Urdu mein parhein gay. Yeh bhediyon ke mutaliq maloomat e aama hai
Urdu zuban mein. Bhediyon (Wolves) ke bare mein yeh ajeeb o ghareeb maloomat ya
jankari aap ke General Knowledge mein izafa kare gi.
1. Bhediyon (Wolves) ki dekhnay ki salahiyat kesi hoti hai?
Bhediyon ki dekhnay ki salahiyat bohat acchi hoti hai aur yeh
kam roshni mein insanon se 6 guna zyada door tak dekh sakte hain.
بھیڑیوں
کی دیکھنے کی صلاحیت
بہت اچھی ہوتی ہے
اور یہ کم روشنی
میں انسانوں سے 6 گُنا
زیادہ دور تک دیکھ
سکتے ہیں۔
2. Kya bhediya aik samaji (Social) janwar hota hai?
Bhediye samaji janwar hain aur yeh jhund mein rehte hain.
بھیڑیے
سماجی جانور ہیں اور
یہ جھنڈ میں رہتے
ہیں۔
3. Bhediye kitni door se shikar (Prey) ka pata laga sakte hain?
Bhediyon ki songhne ki salahiyat bohat mazboot hoti hai aur yeh
ek mil se zyada door se shikar ka pata laga sakte hain.
بھیڑیوں
کی سونگھنے کی صلاحیت
بہت مظبوط ہوتی ہے
اور یہ ایک میل
سے زیادہ دور سے
شکار کا پتہ لگا
سکتے ہیں۔
4. Kya bhediye shikari janwar hotay hain?
Bhediye mahir shikari hote hain aur apne shikar ko gira denay
ke liye ek team ke taur par kaam karte hain.
بھیڑیے
ماہر شکاری ہوتے ہیں
اور اپنے شکار کو
گرا دینے کے لیے
ایک ٹیم کے طور
پر کام کرتے ہیں۔
5. Bhediyon mein bardasht karne ki salahiyat kitni hoti hai?
Bhediyon mein dard bardasht karne ki salahiyat bohat zyada
hoti hai aur yeh aise zakhmon ko bhi bardasht kar sakte hain jo doosre janwaron
ke liye jaan lewa sabit hon.
بھیڑیوں
میں درد برداشت کرنے
کی صلاحیت بہت زیادہ
ہوتی ہے اور یہ
ایسے زخموں کو بھی
برداشت کر سکتے ہیں
جو دوسرے جانوروں کے
لیے جان لیوا ثابت
ہوں۔
6. Kya bhediye khelna pasand karte hain?
Bhediye khelna pasand karte hain aur unhein khelte hoye dekha
gaya hai.
بھیڑیے کھیلنا
پسند کرتے ہیں اور انہیں کھیلتے دیکھا گیا ہے۔
7. Bhediye kitni awazein nikaal sakte hain?
Bhediye aik
darjan se zyada mukhtalif awazein nikaal sakte hain.
بھیڑیے ایک درجن
سے زیادہ مختلف آوازیں نکال سکتے ہیں۔
8. Bhediya kis raftaar (Speed) se dorh sakta hai?
Bhediye 35 meel
fi ghanta ki raftaar se dorh sakte hain.
بھیڑیے 35 میل
فی گھنٹہ کی رفتار سے دوڑ سکتے ہیں۔
9. Bhediyon ki umar (Age) kitni hoti hai?
Bhediyon ki
jangli zindagi mein umar taqreeban 6 se 8 saal hoti hai, lekin qaid (Captivity)
mein yeh 13 saal tak zinda reh sakte hain.
بھیڑیوں کی جنگلی
زندگی میں عمر تقریباً 6 سے 8 سال ہوتی ہے لیکن قید میں یہ 13 سال تک زندہ رہ سکتے
ہیں۔
10. Bhediye bachon ki dekh bhaal kaise karte hain?
Bhediye
behtreen waldain hote hain aur maan aur baap donon apne bachon ki dekh bhaal
mein aham (Important) kirdar (Role) ada karte hain.
بھیڑیے بہترین والدین ہوتے ہیں اور ماں اور باپ دونوں اپنے بچوں کی دیکھ بھال میں اہم کردار ادا کرتے ہیں۔
0 Comments