Dilchasp Maloomat in Urdu Language
This page contains Dilchasp Maloomat in Urdu. Here, you will
read general knowledge questions with answers in Urdu. Read Maloomat e Aama in Urdu.
1. Wo konsa parinda hai jo bachon ko doodh (Milk) pilata hai?
Chamghadar aik aisa parinda hai jo bachon ko doodh pilata
hai.
چمگادڑ
ایک ایسا پرندہ ہے
جو بچوں کو دودھ
پلاتا ہے۔
2. Wo konsa mulk hai jis ne sab se pehlay akhbaar (Newspaper) shuru kiya tha?
China wo mulk
hai jis ne sab se pehlay akhbaar shuru kiya tha.
چین وہ ملک ہے
جس نے سب سے
پہلے اخبار شروع کیا
تھا۔
3. Sab se zyada umar kis parinday ki hoti hai?
Kawa wo
parinda hai jis ki umar sab se zyada hoti hai.
کوا وہ پرندہ ہے
جس کی عمر سب سے زیادہ ہوتی ہے۔
4. Wo konsa janwar hai jo koi awaz nahin nikaal sakta?
Zarafa wo
janwar hai jo koi bhi awaz nahin nikaal sakta.
زرافہ وہ جانور
ہے جو کوئی بھی آواز نہیں نکال سکتا۔
5. Wo konsa parinda hai jo apna ghonsla (Nest) khud nahin bana sakta?
Koyal aik
aisa parinda hai jo apna ghonsla khud nahin bana sakta.
کوئل ایک ایسا
پرندہ ہے جو اپنا گھونسلا خود نہیں بنا سکتا۔
6. Bheria kis mulk ka qoumi nishaan hai?
Bheria (Wolf)
Turkey ka qoumi nishaan hai.
بھیڑیا تُرکی کا
قومی نشان ہے۔
7. Kis mulk ko “Daryaon Ki Zameen” kaha jata hai?
Bangladesh ko
Daryaon Ki Zameen (Land of Rivers) kaha jata hai.
بنگلہ دیش کو دریاؤں
کی زمین کہا جاتا ہے۔
8. Wo konsa janwar hai jo khara ho kar so sakta hai?
Ghora wo
janwar hai jo khara ho kar so sakta hai.
گھوڑا وہ جانور ہے جو کھڑا ہو کر سو سکتا ہے۔
9. Pakistan ka qoumi mashroob (Drink) konsa hai?
Pakistan ka
qoumi mashroob Ganne Ka Ras (Sugarcane Juice) hai.
پاکستان کا قومی
مشروُب گنے کا رس ہے۔
10. Wo konsa mulk hai jahan Chewing Gum par pabandi hai?
Singapore wo
mulk hai jahan chewing gum par pabandi hai.
سنگاپور وہ ملک ہے جہاں چیونگم پر پابندی ہے۔
0 Comments